Sunday, August 10, 2008

Kahan gayi woh zindagi apne armano ki.....

woh bhuli bisri yadeein school college ki,
woh ghanton baithe battein karna bin siir paer ki,
woh galiyon mein ghoomna, woh chokidari karna ladki ke ghar ki,
woh class ke time pe khooshboo lena canteen ke khane ki,
aur woh khabar rakhna har aane jane wali ki,

woh kahaniya hostel ki raaton ki,
woh chuskiya thadi pe chai ki,
woh analyze karna har ball cricket ki,
woh lambi linee har friday ke show ki,
aur woh har program mein awaaz apne shor ki,

woh ichchaien tare ko zameen pe lane ki,
woh no. test ke dekh ke, haqeqat zameen pe aa jane ki,
woh birthday pe lattein apne bhaiyon ki,
woh lambi gossip doosron ki girlfriend ki,
aur woh taangein khichna apne doston ki,
kahan gayi ........
woh shayari shabab aur sharabon ki,
kahan gayi........
woh bindaas zindagi apne armano ki.

11 comments:

Unknown said...

very very impressive...Keep it up......keep writing such things...your thoughts are really influential.....

Anonymous follower said...

.... woh saab kuch jo aab ho nahi sakta .......... woh aarrman jo.........
nice very nice par ye acche dhang nahi hai yahi se hum bhi bigad gaye the :)

Unknown said...

Excellent Raja babu.........
Likhne ke saath saath koi publishing house bhi talashte raho..

Exchange said...
This comment has been removed by the author.
Exchange said...

It has touched my heart...tooo gud man.

let focus said...

yaar rula diye tune to , chal kisne to likhne ki parampara kaayam rakhi hats off dost i luv u

Unknown said...

wah!wah!wah!!! majja aa gaya .. it was grt... achha aur ab yeh bhi bata do ki yeh kiske liye likha hai?

Parijat said...

hazaron khwaishe aisi ki har khwaish pe dam nikle,

Bahut nikle mere armaa lekin phir bhi kam nikle,

khuda ke waaste parda na kaabe se utha jaalim,

kahi aisa na ho yu bhi wahi kaafir sanam nikle

Unknown said...

Oye mere bhai.

Kyon yeh sab cheezon ki yaad dila raha hai aur jaan jala raha hai.

Jaa, jakar kaam kar or else come down to Mumbai and relive those times.

Btw, well written :)

Unknown said...

waiting for your next blog desparately..

Vipin said...

Kya baat hai.. tu toh shayer bhi ban gaya...wapas aaja mumbai... phir chalu ho jayegi teri "WOH JINDIGI"